sar mein sauda nazar aata hai khuda khair kare ghar bhi sahra nazar aata hai khuda khair kare aaj bigde hue tewar hain kuchh un ke yaro hum ko kya kya nazar aata hai khuda khair kare hai bala-khez phir ek bar tamawwuj dil mein khun barasta nazar aata hai khuda khair kare hum se kahte ho andheron ko ujale samjho shab-paro kya nazar aata hai khuda khair kare aaj kya un ke tasawwur mein bahenge phir ashk gham ka dariya nazar aata hai khuda khair kare tha jigar tishna-e-faryaad to dam ghutta tha dil bhi pyasa nazar aata hai khuda khair kare samne the to nazar rukh se nahin hatti thi ab to parda nazar aata hai khuda khair kare chhut thi jalwa-e-paiham ki to andher sa tha ab andhera nazar aata hai khuda khair kare hum ko in sar-ba-falak qasr-o-imaraat ke gird gham ka dera nazar aata hai khuda khair kare ‘naqwi’-e-tishna-jigar ki bhi bujhegi kabhi pyas ab to marta nazar aata hai khuda khair kare