nigah-e-naz se bijli gira ke dekho to hamara zarf kabhi aazma ke dekho to jo ban pade to uthao naqab-e-ru-e-hayat rukh-e-nigar se parda hata ke dekho to na aao tum mere ghar ki taraf pe ye to karo milo jo rah mein nazren bacha ke dekho to giro na ahl-e-wafa ki nazar se tab jaanen nazar se apni hamein tum gira ke dekho to faqat hain kahne ki baaten haqiqat aur majaz na jhanko aaine mein pas aa ke dekho to piyo to ritl-e-giran waiz-e-karam-farma kisi ki aankh se tuk dagmaga ke dekho to waraq waraq hai chaman-zar-e-harf-e-raaz magar naqab-e-ariz-e-mani utha ke dekho to nahin hain waqt ki ruthen to phir wo man na saken hazar bar manao mana ke dekho to wo kahte hain ki lagawat nahin unhen 'naqwi' zara tum un ki taraf muskura ke dekho to