sar mera kaT ke pachhtaiyega

sar mera kat ke pachhtaiyega
kis ki phir jhuti qasam khaiyega

tham lun dil ko zara hathon se
abhi pahlu se na uth jaiyega

kahiye yaran-e-adam kya guzri
kuchh lab-e-gor se farmaiyega

yusuf-e-husn agar gham hoga
aap yaqub nazar aaiyega

kar ke isbaat-e-dahan kijiye wasf
dekhiye munh ki abhi khaiyega

kam bhi dene mein bahut faeda hai
bosa ek dijiye das paiyega

khat pe khat likhiyega ai shah-sawar
ghodi kaghaz ki bhi daudaiyega

mardum-e-chashm se aae jo hijab
aankh ke parde mein chhup jaiyega

kya gareban ne gala ghonta hai
idhar ai dast-e-junun aaiyega

kah ke panw se chale yar ke ghar
hum jo uthne lagen so jaiyega

kah ke ye tum ho bade har babe
dar-ba-dar kya mujhe phirwaiyega

kyun banawat se aji rote hain aap
jhute moti kise dikhlaiyega

jam saqi se jo manga to kaha
bhar ke ashk aankh mein pi jaiyega

mushaf-e-rukh ki qasam mein hai maza
hum se quran ye uthwaiyega

khat ghulami ka nahin ai yusuf
khat jo nikla hai na sharmaiyega

hum ne yusuf jo kaha kyun bigde
mol lega koi bik jaiyega

hazrat-e-kaba jo ban jaiye arsh
dil ki wusat na kabhi paiyega

hum bhi aa niklenge masjid mein 'wazir'
khisht-e-khum le ke jo banwaiyega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close