pesh-e-ashiq chashm-e-giryan-o-lab-e-khandan hai ek jal gaya jo nakhl us ko barq aur baran hai ek dekhne deta nahin us ko hijab-e-ishq hae hun main wo mahrum jis ko wasl aur hijran hai ek na-tawani se tere bimar ke rukhsar par saili-e-dast-e-sitam aur saya-e-mizhgan hai ek pairahan mein yun badan hai jis tarah se tan mein ruh chashm-e-bad dur ab latafat mein wo jism-o-jaan hai ek mah se tashbih phir tujh ko na kyun kar dijiye chandni aur saya tera ai mah-e-taban hai ek aap se behtar ki aage khud-numai hai zubun ru-ba-ru-e-mehr mah-o-abr-e-be-baran hai ek chahiye hans kar chhidakna ai lab-e-jaanan namak aatish-e-gham se kabab aur ye dil-e-sozan hai ek aashiqon ke aage mushrik ai but-e-yakta hun main gar kahun main husn mein tu aur mah-e-kanan hai ek saikdon tuti-zaban hain yan asir-e-dam-e-gham khana-e-sayyaad aur ye gumbad-e-gardan hai ek ek hi ye nur hai dil mein har ek ke jalwa-gar shishe hain lakhon pari sab mein wale pinhan hai ek