sar na sajde se utha takhir par takhir kar zarre jo taht-e-jabin aae unhen iksir kar banda-e-rab ban ke raushan apni tu taqdir kar aalam-e-kun hai tera qabze mein ye jagir kar ashk-bari hubb-e-ahamad uns-e-makhluq-e-jahan ye hain ajza-e-salasa in se dil tamir kar daman-e-hasti mein tere jo hain zarre khak ke zarb-e-allah-hu se is mitti ko pur-tanwir kar is tarah se kuchh na kuchh shayad ki halka bojh ho iztirab-e-dil 'nazar' apna tu aalamgir kar