main iztirab mein hun sham se sahar ke liye koi charagh ata kar de raat-bhar ke liye khuda bachae tumhein aisi-waisi nazron se gale mein dal lo tawiz tum nazar ke liye qafas-nasib hain na-ashna-e-azadi ye qaid ek chunauti hai baal-o-par ke liye nigah-e-barq mein wo khar se khatakne lage jo tinke jama kiye hum ne apne ghar ke liye masih-e-waqt to aisi nafas sahi lekin ilaj hai koi zakhm-e-dil-o-jigar ke liye tumhaare husn-o-ada ke hamin shikar nahin na jaane kitnon ke dil tum ne ban-sanwar ke liye tamam-umr andhere mein kat gai yarab koi charagh ata kar hamare ghar ke liye kisi ke samne sar kham karun main kyun 'ajiz' bani hai meri jabin un ke sang-e-dar ke liye