sar par thi kadi dhup bas itna hi nahin tha us shahr ke pedon mein to saya hi nahin tha pani mein zara der ko halchal to hui thi phir yun tha ki jaise koi duba hi nahin tha likkhe the safar panw mein kis tarah thaharte aur ye bhi ki tum ne to pukara hi nahin tha apni hi nigahon pe bharosa na rahega tum itna badal jaoge socha hi nahin tha kanda the mere zehn pe kyun us ke khad-o-khal chehra jo meri aankh ne dekha hi nahin tha