raat main shana-e-idrak se lag kar soya band ki aankh to aflak se lag kar soya unghta tha kahin mehrab ki sarshaari mein ek diya sa kisi chaqmaq se lag kar soya ek jalta hua aansu jo nahin sota tha der tak dida-e-namnak se lag kar soya an-ginat aankhen mere jism pe chundhyai rahin buqa-e-nur meri khak se lag kar soya kuza-gar ne mere bare mein ye daftar mein likha chaak se utra magar chaak se lag kar soya nind ki shart thi tanha nahin sona mujh ko hijr tha so usi saffak se lag kar soya raat kanton pe guzari to sawere socha kis liye khema-e-ushshaq se lag kar soya nind suli pe chali aai sau zakhm-e-uryan apni ek khwahish-e-poshak se lag kar soya