sar pe dastar rakhe hath mein kasa rakkhe kaun ab jaan pe apni ye tamasha rakkhe koi dariya na bujha paya meri tishna-labi ab koi lae mere honton pe sahra rakkhe is ko thukra dun agar sar pe bitha legi mujhe main jo phirta hun abhi sar pe ye duniya rakhe ek muddat se nahin dekha hai chehra un ka ek muddat se hai aankhen meri roza rakhe is se kam par kabhi raazi nahin hote mashuq ishq jo dil mein rakhe sar ka bhi sauda rakkhe bewafa se bhi nibhae koi kab tak 'danish' sabr bhi rakkhe to aakhir koi kitna rakkhe