sar-ta-ba-qadam khun ka jab ghaza laga hai tab zakhm ki gahrai ka andaza laga hai ye raat ka jangal ye khamoshi ye andhera patta bhi jo khadka hai to aawaza laga hai malum nahin mera khula dasht kahan hai sahra ka khala bhi mujhe darwaza laga hai ehsan ye kuchh kam to nahin gul-badanon ka jo zakhm hai sine pe gul-e-taza laga hai yakja hue yaadon ke umadte hue paikar phir muntashir apna mujhe shiraaza laga hai