qalb ko barf-ashna na karo gul kisi taur ye diya na karo zindagi bhi hai ek marg-e-dawam tum jo jine ka haq ada na karo jis mein phulon pe panw dharna pade ikhtiyar aisa rasta na karo zahr pi jao bankpan ke sath zahr chakhne ka tajraba na karo gur sikhae jo jang-bazi ke aisi danish ko rahnuma na karo zulm to zalimon ka shewa hai qahr hai tum jo tajziya na karo sab khizan zade kah rahe hain 'hazin' yan pe zikr-e-gul-o-saba na karo