sar uTha ke mat chaliye aaj ke zamane mein

sar utha ke mat chaliye aaj ke zamane mein
jaan jati rahti hai hausla dikhane mein

kis se haq talab kije bewafa zamane mein
honth sukh jate hain haal-e-dil sunane mein

hath ki lakiron se faisle nahin hote
azm ka bhi hissa hai zindagi banane mein

kho gae kahan mere eatibar ke rishte
kis ne bo diye kante phul se gharane mein

manzilon ki baaten to khwab jaisi baaten hain
umr bit jati hai rasta banane mein

ai 'bashar' meri aankhen jugnuon ki aadi thin
kis ne bijliyan rakh din mere aashiyane mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close