sara bagh ulajh jata hai aisi be-tartibi se mujh mein phailne lag jati hai khushbu apni marzi se har manzar ko majma mein se yun uth uth kar dekhte hain ho sakta hai shohrat pa len hum apni dilchaspi se in aaankhon se do ek aansu tapke hon to yaad nahin hum ne apna waqt guzara har mumkin khamoshi se barf jami hai manzil manzil raste aatish-dan mein hain baitha rakh kured raha hun main apni baisakhi se khwabon ke khush-haal parinde sar par yun mandlate hain dur se pahchane jate hain hum apni be-khwabi se dil se nikale ja sakte hain khauf bhi aur kharabe bhi lekin azal abad ko 'adil' kaun nikale basti se