shab mein din ka bojh uthaya din mein shab-bedari ki dil par dil ki zarb lagai ek mohabbat jari ki kashti ko kashti kah dena mumkin tha aasan na tha dariyaon ki khak udai mallahon se yari ki koi had koi andaza kab tak karte jaana hai khandaq se khamoshi gahri us se gahri tariki ek taswir mukammal kar ke un aankhon se darta hun faslen pak jaane par jaise dahshat ek chingari ki hum insaf nahin kar pae duniya se bhi dil se bhi teri jaanib mud kar dekha yani jaanib-dari ki khwab adhure rah jate hain nind mukammal hone se aadhe jage aadhe soe ghaflat bhar hushyari ki jitna in se bhag raha hun utna pichhe aati hain ek sada jarob-kashi ki ek aawaz bhikari ki apne aap ko gali de kar ghur raha hun tale ko almari mein bhul gaya hun phir chabi almari ki ghatte badhte sae se 'adil' lutf uthaya sara din aangan ki diwar pe baithe hum ne khub sawari ki