sara jahan chhod ke tum se hi pyar tha tum jo bhi kah rahe the mujhe e'tibar tha taqrir neta-ji ne jo basti mein aaj ki us ka har ek lafz hamein nagawar tha ghar mein khuda ke der hai andher to nahin rahmat ke dar khulenge yahi intizar tha us ko hamari chah ki kuchh bhi khabar nahin jis ke liye hamara ye dil be-qarar tha kuchh sujhta nahin tha jawani ke josh mein khwabon ke dosh par wo ajal se sawar tha jo log kar rahe ye hamari mukhalifat hum ko khabar nahin ki wo un mein shumar tha