phir tere reshmi lab mujh ko manane aae pyas janmon ki phir ek bar bujhane aae yaad se us ki kaho aaj satane aae khwab aankhon se, sakun dil se churane aae aaj phir dard ke bazar saje hain yaro ashk phir aankhon mein dukan lagane aae tu ne ehsas ki daulat se nawaza tha magar zist ke fikr-o-alam hosh udane aae muntazir aaj talak bhi hain ki is raat kabhi tu kisi aur se milne ke bahane aae kam-sini mujh mein yahi soch ke zinda hai 'sahar' main jo ruthun to kabhi tu bhi manane aae