sarab-e-shab bhi hai khwab-e-shikasta-pa bhi hai ki nind mangte rahne ki kuchh saza bhi hai tamam umr chunungi main reza reza tujhe pas-e-ghubar-e-nigah ek aaina bhi hai supurd-e-raqs kiya main ne har tamanna ko lahu ke shor ki ab koi intiha bhi hai main kyun na ek hi qatre se sair ho jaun kisi ki pyas ko dariya kabhi mila bhi hai miyan-e-rah kadi dhup mein na chhod mujhe bata to de ki kahin ghar ka rasta bhi hai main is charagh ko dushman ki saf mein kyun rakhkhun ye mere nam pe kuchh der ko jala bhi hai hazar lazzat-e-khamosh ke nashe mein ho dil sukhan ke nam pe kuchh harf mangta bhi hai mere khilaf gawahon ki kuchh kami bhi nahin magar har ek mere haq mein bolta bhi hai simat ke rah gae diwar-e-shahr-e-khauf mein log kise khabar ho ki zinda koi bacha bhi hai hujum-e-tishna-laban ka suragh de mujh ko wirasaton mein meri dasht-e-karbala bhi hai