suraj chadha to dil ko ajab wahm sa hua dushman jo shab ko mara tha wo uth khada hua bikhri hui hai ret nadamat ki zehn mein utra hai jab se jism ka dariya chadha hua zulfon ki aabshaar sirhane pe gir padi khola jo us ne raat ko joda bandha hua nikla karo pahan ke na yun mukhtasar libas padh lega koi lauh-e-badan par likha hua ek shakhs jis se mera taaruf nahin magar guzra hai bar bar mujhe dekhta hua