sarab-e-zist se bachna to bas ke bahar tha magar jo sine pe yaadon ka sakht patthar tha hum apne aap se kuchh der guftugu kar len tumhaari yaad na aati to aaj behtar tha na qafila na ghubar-e-safar na saya koi hamare sath to jo kuchh tha daman-e-tar tha khayal-o-khwab se kyunkar junun ko hosh aaya tumhaara zikr tha ya zindagi ka nashtar tha na jaane kis liye duniya yahi samajhti hai na main tha dard ka mara na tu sitamgar tha khabar na thi ki taqaza-e-zindagi kya hai kisi ki bazm pe hum ko guman-e-mahshar tha hayat jati kahan kis se hoti dad-talab dil-e-hayat ka har zakhm khud hi khanjar tha