rabt-e-ehsas kahan ab dil-e-nakaam ke sath kyon bujha jata hai ye tirgi-e-sham ke sath kya khabar un ka pata pae na pae ye bhi main to chalne ko chalun gardish-e-ayyam ke sath ab to wo bhi nahin jo de mujhe do lamhe sukun dil mein jo dard sa rahta tha tere nam ke sath kaun jaane ki kahan hoga wo aalam-talab dil ko dekha to tha tute hue asnam ke sath haal-e-dil jaane wo kis rang mein tabir karen chand aansu bhi gae hain mere paigham ke sath sochta hun ki lagaunga kise apne gale be-khudi aai agar talkhi-e-alam ke sath lakh tuta ho 'saba' lab se laga lo apne ruh-e-mai-khana khinchi aati ho jis jam ke sath