sarab-o-dasht wahi sarban tisra hai safar ke sath bandha imtihan tisra hai huzur fahm-o-farasat se kaam lijiyega sadak ke maghribi jaanib makan tisra hai ye do jahan se aage ki ek manzil hai ata-e-ishq-e-mohammad jahan tisra hai azal abad ke nishan zindagi ke hami hain tabahiyon ki ibarat nishan tisra hai hum is se pahle bhi guzre hain imtihanon se padaw pahla sahi imtihan tisra hai ye donon kan to diwar ki amanat hain jo intiha-e-yaqin hai wo kan tisra hai main dhup odh ke nikla to ye khula 'faisal' yaqin dusra mausam guman tisra hai