zamin-e-hijr mein gardan talak gada hua hun main tujh ko haar ke ab soch mein pada hua hun har ek samt hai shorish bala ki wahshat hai main dasht-zad hun aur shahr mein khada hua hun khuda ka shukr ki zebaishon ka hun bais ye aur baat ki pazeb mein jada hua hun ye ishq maut ke asbab paida karta hai main tis sal se is baat par ada hua hun kiya tha aap ne sarwat ka zikr khair jahan main ehtiram mein ab tak wahin khada hua hun khuda kare ki tujhe bandagi pasand aae main khak ho ke teri rah mein pada hua hun main qahqahon ke qabile ka aadmi tha magar ajib hai ki gale dasht ke pada hua hun bata rahe the ye 'faisal' imam ishq mujhe main intizar-e-musalsal se chida hua hun