sard aaj-kal is darja zamane ki hawa hai anjam ke ehsas se dil kanp raha hai wo shakl jo aate hi nazar ho gai ghaeb jadu hai ki bijli ki chhalawa ki bala hai kashmir jise kahte hain sab ghairat-e-firdaus jab tu hi nahin hai pas to dozakh se siwa hai kohsar par ye abr ke phirte hue sae ek aalam-e-shadab tujhe dhundh raha hai gar baadila sar par hai to makhmal hai tah-e-pa al-qissa ajab manzar-e-pur-zeb-o-ziya hai aa aur meri chashm-e-tasawwur mein sama ja aaina tera der se be-aks pada hai ai 'fauq' main hun is liye muhtaj-e-rifaqat tanha rah-e-manzil mein koi chhod gaya hai