sard rahon mein bhatakti hui shamon ki tarah main tere sath chali aai hun raston ki tarah bas yahi dekh ke tajdid-e-mohabbat kar li ro pada tha wo mere samne bachchon ki tarah ghar udasi ne padaw hai kiya muddat se khwab kamron mein saja rakkhe hain katbon ki tarah bagh-e-hijran ki bahaaron ke bhi subhan-allah zakhm phulon ki tarah phul hain zakhmon ki tarah likh rahi hun tere mathe pe koi 'mir' ka sher padh rahi hun teri aankhon ko sahifon ki tarah wo mujhe chhod gaya hijr musalle par raat main ada karti rahi jis ko namazon ki tarah maut se rishta mera man ki tarah hai 'sadi' zindagi lagti hai mujh ko sagi bahnon ki tarah