samaat par dabaw waqt ka munh-zor hota hai

samaat par dabaw waqt ka munh-zor hota hai
khamoshi ke taaqub mein hamesha shor hota hai

tumhaara nam le kar khinchti hun aaine par khat
jhapakti hun zara aankhen to chehra aur hota hai

mujhe kyon har zamana khun mein lat-pat mila hai phir
badon se jab suna tha zulm ka ek daur hota hai

khudara muftiyan-e-shahar se koi to ye puchhe
churae rotiyan bhuka agar to chor hota hai

hamare han bichhadna bhi kabira nekiyon mein hai
hamare han musalsal ishq ab is taur hota hai

koi sachchi kahawat hai mohabbat wo ladai hai
lade jo jitne ke shauq mein kamzor hota hai

tabhi to 'sadiya' khul kar nahin milti kisi se main
bichhadna zehn mein pahle hi zer-e-ghaur hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close