sard rishton ki barf pighli hai dhup muddat ke baad nikli hai nind aankhon se ye churaegi gasht par yaad phir se nikli hai har nai lahr mein naya pani wo jo pichhli thi ab wo agli hai rang wo hi bharegi donon mein apni yaadon ki wo jo titli hai phut pani mein pad gai hai kya lahr dariya banane nikli hai mere jine ko bas ye hai kafi tu hai barish hai aur titli hai be-khayali mein gir padi hogi wo nahin jaanti wo bijli hai chand ko chug gaya tha ek panchhi chandni phir kahan se nikli hai wajh tum hi the mere jine ki wajh ab bhi kahan ye badli hai udti hai gham liye paron par jo kaisi khush-rang si wo titli hai tujh se taswir teri achchhi hai baad muddat bhi wo na badli hai