pattharon par wadiyon mein naqsh-e-pa mera bhi hai raston se manzilon tak silsila mera bhi hai panw us ke bhi nahin uthte mere ghar ki taraf aur ab ke rasta badla hua mera bhi hai habs ke aalam mein bhi zinda hun teri aas par ai hawa-e-taza darwaza khula mera bhi hai baadalon se ai zamin tu hi nahin hai na-umid raegan sa ab ke kuchh harf-e-dua mera bhi hai be-basarat shahr mein be-chehragi ke darmiyan ek diya jalta hua ek aaina mera bhi hai dekhta hun main bhi sab ke sath duniya ko magar ek alag zauq-e-nazar ek zawiya mera bhi hai tirgi mein aaj agar main hun to ho sakta hai kal dastaras mein chand ho aakhir khuda mera bhi hai