sardi bhi khatm ho gai barsat bhi gai aur is ke sath garmi-e-jazbaat bhi gai us ne meri kitab ka dibacha padh liya ab to kabhi kabhi ki mulaqat bhi gai main aasman pe ja ke bhi tare na la saka tum bhi gae udas meri baat bhi gai hum sufiyon ka donon taraf se ziyan hua irfan-e-zat bhi na hua raat bhi gai milne lagi hai aam to pina bhi kam hua qillat ke khatm hote hi buhtat bhi gai