karne do agar qattal-e-jahan talwar ki baaten karte hain arzan nahin hota un ka lahu jo pyar ki baaten karte hain ye aish-o-tarab ke matwale be-kar ki baaten karte hain pael ke ghamon ka ilm nahin jhankar ki baaten karte hain na-haq hai hawas ke bandon ko nazzara-e-fitrat ka dawa aankhon mein nahin hai binai didar ki baaten karte hain gham mein bhi raha ehsas-e-tarab dekho to hamari nadani virane mein sari umr kati gulzar ki baaten karte hain be-naqd-e-amal jannat ki talab kya shai hain janab-e-waiz bhi mutthi mein nahin hain dam-o-diram bazar ki baaten karte hain kahte hain unhin ko dushman-e-dil hai nam usi ka naseh bhi wo log jo rah kar sahil par manjdhaar ki baaten karte hain pahunche hain jo apni manzil par un ko to nahin kuchh naz-e-safar chalne ka jinhen maqdur nahin raftar ki baaten karte hain ye ahl-e-qalam ye ahl-e-hunar dekho to 'shakil' in sab ke jigar faqon se hain dil murjhae su-e-dar ki baaten karte hain