sare aalam mein nur hai tera har jagah par zuhur hai tera sharq se gharb qaf se ta-qaf tazkira dur dur hai tera dil-e-ashiq ko kyun jalata hai ye bhi kya koh-e-tur hai tera main kahan aur tera nam kahan sab karam ka wafur hai tera shab-e-furqat ko kyun daraaz kiya kya ye roz-e-nushur hai tera us sitamgar ka kya karen shikwa o re dil sab qusur hai tera rahm kar aasman pe ai bari banda-e-pur-qusur hai tera is ko kahte hain anjum-e-asi nam rabb-e-ghafur hai tera