tha meri jast pe dariya baDi hairani mein

tha meri jast pe dariya badi hairani mein
kyun mera aks bahut der raha pani mein

shayad is khak se khurshid koi utthega
so main rahta hun anasir ki nigahbani mein

pas-e-adab ki yan der nahin lagti hai
mir-e-zindan ko badalte hue zindani mein

un ki aawaz ko khatir mein na lane walo
tum ne dariyaon ko dekha nahin tughyani mein

wo ajab daur-e-mohabbat tha zamana tha na waqt
jaise donon hon kisi aalam-e-la-fani mein

wo bhi taswir sa aaghaz-e-mohabbat mein raha
main bhi tha aaina-khanon ki si hairani mein

koi gham-khwar nazar aae to dar jata hun
ye bhi aaseb na ho qalab-e-insani mein

mere honton hi pe udti rahi aawaz ki rakh
kaise lau de ye kisi khitt-e-barfani mein

teri basti ko khuda ishq se aabaad rakhe
jis ne aabaad rakha hai mujhe virani mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close