sare bhule bisron ki yaad aati hai ek ghazal sab zakhm hare kar jati hai pa lene ki khwahish se mohtat raho mahrumi ki bimari lag jati hai gham ke pichhe mare mare phirna kya ye daulat to ghar baithe aa jati hai din ke sab hangame rakhna zehnon mein raat bahut sannate le kar aati hai daman to bhar jate hain ayyari se dastar-khwanon se barkat uth jati hai raat gae tak chalti hai tw par film roz namaz-e-fazr qaza ho jati hai