parde uthe hue bhi hain un ki idhar nazar bhi hai badh ke muqaddar aazma sar bhi hai sang-e-dar bhi hai jal gai shakh-e-ashiyan mit gaya tera gulsitan bulbul-e-khanuman-kharab ab kahin tera ghar bhi hai ab na wo sham sham hai apni na wo sahar sahar hone ko yun to roz hi sham bhi hai sahar bhi hai chahe jise banaiye apna nishana-e-nazar zad pe tumhaare tir ke dil bhi hai aur jigar bhi hai din ko usi se raushni shab ko usi se chandni sach to ye hai ki ru-e-yar shams bhi hai qamar bhi hai zulf-ba-dosh be-naqab ghar se nikal khade hue ab to samajh gae huzur nalon mein kuchh asar bhi hai 'bedam'-e-khasta ka mazar aap to chal ke dekhiye shama bana hai dagh-e-dil bekasi nauhagar bhi hai