sare din dasht-e-tajassus mein bhatak kar so gaya sham ki aaghosh mein suraj bhi thak kar so gaya aakhir-e-shab main bhi kha kar khwab-awar goliyan chand lamhe nashsha-e-gham se bahak kar so gaya ye sukut-e-sham ye hangama-e-zehn-e-bashar ruh hai bedar lekin jism thak kar so gaya aakhir is daur-e-pur-ashob ka har aadmi khwab-e-mustaqbil ke jangal mein bhatak kar so gaya chand din gulshan mein naghmat-e-masarrat chhed kar shakh-e-gham par ruh ka panchhi chahak kar so gaya aakhirash sare chaman ko de ke husn-e-zindagi maut ke bistar pe har ghuncha mahak kar so gaya zindagi bhar ab andheri raat mein hai jagna ab to qismat ka sitara bhi chamak kar so gaya paikar-e-alfaz mein ek aag dahkata hua kaghzi sahra mein ek shoala bhadak kar so gaya 'kaif' yun aaghosh-e-fan mein zehn ko nind aa gai jaise man ki god mein bachcha sisak kar so gaya