kis ki aankhon ka liye dil pe asar jate hain mai-kade hath badhate hain jidhar jate hain dil mein arman-e-visal aankh mein tufan-e-jamal hosh baqi nahin jaane ka magar jate hain bhulti hi nahin dil ko teri mastana nigah sath jata hai ye mai-khana jidhar jate hain pasbanan-e-haya kya hue ai daulat-e-husn hum chura kar teri duz-dida nazar jate hain pursish-e-dil to kuja ye bhi na puchha us ne hum musafir kidhar aae the kidhar jate hain chashm-e-hairan mein samae hain ye kis ke jalwe tur har gam pe raqsan hain jidhar jate hain jis tarah bhule musafir koi saman apna hum yahan bhul ke dil aur nazar jate hain kitne bedard hain is shahr ke rahne wale rah mein chhin ke dil kahte hain ghar jate hain agle waqton mein luta karte the rah-rau aksar hum to is ahd mein bhi lut ke magar jate hain faizabad se pahuncha hamein ye faiz 'akhtar' ki jigar par liye hum dagh-e-jigar jate hain