sare hi zindagi ke fasane badal gae mausam ki tarah dost purane badal gae siska hai ghar ki chhat pe parinda bhi raat bhar khae jahan niwale gharane badal gae shanon pe jis pita ne dikhaya use jahan bitiya badi hui to thikane badal gae painsath ki umr mein bhi chadhi hain jawaniyan aab-o-hawa ke sath siyane badal gae nikli hai qaid-e-ashk se muddat mein ye 'kashish' is marhale ke baad zamane badal gae