sare ilzam bhul jata hun

sare ilzam bhul jata hun
main to dushnam bhul jata hun

roz main puchhta hun tera nam
roz main nam bhul jata hun

dekhta hun bikharte phulon ko
apna anjam bhul jata hun

aisa chaska laga hai baaton ka
ghar ka har kaam bhul jata hun

yaad karta hun us ko sara din
aur sar-e-sham bhul jata hun

aisa masruf kar liya khud ko
aksar aaram bhul jata hun

khush tujhe dekh kar main apne bhi
gham-o-alam bhul jata hun

wo gali tujh pe band hai lekin
dil-e-nakaam bhul jata hun

dekhta hun tujhe qarib se aa
main tera nam bhul jata hun

kyun sitam us ke barha 'faruq'
gam-dar-gam bhul jata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close