phul khushbu chandni mahtab wo par meri khatir hai koi khwab wo apni apni uljhanon mein yar gum ab kahan hai halqa-e-ahbab wo is qadar betab aakhir kis liye ye nahin hai ai dil-e-be-tab wo bujh gaya kuchh dil bhi ab ke hijr mein aur chehre par kahan hai tab wo ek sahra ki tarah main tishna-lab ek naddi ki tarah sairab wo dushman-e-jaan hai magar achchha laga jaanta hai kuchh adab aadab wo jagne ka kaam mujh ko saunp kar dekhta rahta hai mere khwab wo main hun arzan sahilon ki ret sa aur koi gauhar-e-nayab wo dur tak 'faruq' tapti ret hai ab yahan aate nahin sailab wo