sare manzar ek jaise sari baaten ek si sare din hain ek se aur sari raaten ek si be-natija be-samar jang-o-jadal sud o ziyan sari jiten ek jaisi sari maten ek si sab mulaqaton ka maqsad karobar-e-zar-gari sab ki dahshat ek jaisi sab ki ghaten ek si ab kisi mein agle waqton ki wafa baqi nahin sab qabile ek hain ab sari zaten ek si ek hi rukh ki asiri khwab hai shahron ka ab un ke matam ek se un ki baraaten ek si hon agar zer-e-zamin to faeda hone ka kya sang o gauhar ek hain phir sari dhaten ek si ai 'munir' aazad ho is sehr-e-yak-rangi se tu ho gae sab zahr yaksan sab nabaaten ek si