zara si baat thi baat aa gai judai tak hansi ne chhod diya la ke jag-hansai tak bhale se ab koi teri bhalai ginwae ki main ne chaha tha tujh ko teri burai tak tu chupke chupke murawwat se kyun bichhadta hai mera ghurur bhi tha teri kaj-adai tak mujhe to apni nadamat ki dad bhi na mili main us ke sath raha apni na-rasai tak is aaine ka to ab reza reza chubhta hai ye aaina jise takti rahi khudai tak ye hadsa hai mere zabt-e-haal ke hathon safed ho gai kaghaz pe raushnai tak pukarti rahin aankhen chala gaya hai koi wo ek sukut tha aawaz se duhai tak nikal ke dekha qafas se to aankh bhar aai wo fasl-e-gul ki khadi thi meri rihai tak ghazab hai tut ke chaha tha 'shaz' ne jis ko suna ye rasm bhi thi surat-ashnai tak