sare manzar khak hote ja rahe hain dosto hum ne jo paya hai khote ja rahe hain dosto aao paidal hi safar ke silsilon ko raund den baithe baithe banjh hote ja rahe hain dosto sans ki dori mein ujde mausamon ki sipiyan ek tasalsul se pirote ja rahe hain dosto tairti mud mud ke takti kashtiyon ke baadban rafta rafta dur hote ja rahe hain dosto na-samajh is sar-zamin par aane walon ke liye nit nae bohran bote ja rahe hain dosto ye ghani chhanw padaw thi nae aaghaz ka is ghani chhanw mein sote ja rahe hain dosto