yaran-e-tez-gam se ranjish kahan hai ab manzil pe ja pahunchne ki khwahish kahan hai ab zindan mein din bhi raat hi jaisa guzar gaya ahl-e-junun wo pahli si shorish kahan hai ab jam-e-sharab ab to mere samne na rakh aankhon mein nur hath mein jumbish kahan hai ab halqa-ba-gosh koi na ab yar hai yahan wo roz-o-shab ki dad-o-sataish kahan hai ab jine ka haq jo manga to tewar badal gae wo mere muhsinon ki nawazish kahan hai ab chehre pe gard-e-umr-e-rawan ka zuhur hai banhon ke baale boson ki barish kahan hai ab khanjar ho ya ki dashna ho ya tegh ya qalam 'akhtar' wo aab aur wo burrish kahan hai ab