sare sitaron ke hamin tanha raqib the hum ek shab to chand ke itne qarib the hathon ko ye gila hain bade kam-nasib hum aankhen ye sochti hain ki hum khush-nasib the rakkhi hai aap hi ke liye jaan sanbhaal kar yun shahr mein kuchh aur bhi husn-e-salib the hum mein hi kuchh kami thi jo samjhe na ja sake warna hamare dost to sare adib the hairan hain hum aaine mein khud ko dekh kar jaanan tumhaare shauq bhi kitne ajib the