jab talak gham jawan nahin hota sabr ka imtihan nahin hota chhed mat jazba-e-mujahid ko ye kabhi na-tawan nahin hota jaanta hun qarib se us ko be-gharaz mehrban nahin hota aise andaz se wo milta hai dushmani ka guman nahin hota ho mahal ya gharib ki kutiya gham kabhi be-makan nahin hota hum mein shamil koi munafiq hai dost yun bad-guman nahin hota lakh talim-yafta hi sahi kam nazar nukta-dan nahin hota band kar ab to shughl-e-nasl-kushi dekh waqt ek san nahin hota azm ko aazma liya 'mukhlis' raegan imtihan nahin hota