sarf chehra hi nazar aata hai aaine mein aks-e-aina nahin dikhta hai aaine mein silsila yaad ka jab zehn mein jag uthta hai ek dariya sa umad aata hai aaine mein apni aankhon ko kabhi ghaur se jab dekhta hun nur chehra tera jag uthta hai aaine mein rote rote jau kabhi padti hai us samt nazar koi namnak diya jalta hai aaine mein kabhi aisa bhi hua hai ki shab-e-furqat mein aks ubhar kar tera kho jata hai aaine mein taire chehre ki hansi dekh ke yun lagta hai phul jaise koi khil uthta hai aaine mein kya khabar kaisa lage aks jo bahar aa jae us ko rahne do wahin achchha hai aaine mein us mein jo duba kabhi wo na ubharne paya maujzan ek siyah dariya hai aaine mein aaina-khana mein kya hum se chhupa hai 'mamun' hum ne kya kya na bhala dekha hai aaine mein