wahi zamin wahi sar pe aasman nikla safar ke par bhi ek dasht-e-raegan nikla jo is ko dekha to taswir ban gain aankhen ye jagta hua pal khwab-e-be-karan nikla rawan the hum to safar par charagh-e-hosh liye magar sabaat-e-jahan kar-e-na-gahan nikla udi qaba-e-sikandar ghubar-e-nisyan mein tulu-e-saghar-e-jam shola-e-guman nikla kahin tha shor-e-takallum kahin thi khamoshi jo ham-kalam tha hum se wo darmiyan nikla use chhua to wo gum ho gaya hawa ki tarah ajab nazara tha zahir mein bhi nihan nikla fusun-e-ishq qimar-e-hawas-gari thahra tamam girya-e-jaan zeb-e-dastan nikla kahin hai dasht-e-halakat kahin hai hairani teri talash mein ye rasta kahan nikla bas ek galim-e-sukhan dosh-e-umr thi 'sarmad' usi ke tar-e-shikasta se lal-e-jaan nikla