sarguzisht-e-dil ko rudad-e-jahan samjha tha main mukhtasar si baat ko ek dastan samjha tha main ban gai mere liye ek iztirab-e-mustaqil jis mohabbat ko sukun-e-qalb-o-jaan samjha tha main wo bhi meri gardish-e-taqdir ka ek daur tha jis ko ab tak inqilab-e-asman samjha tha main wo to ye kahiye mohabbat ne hi aankhen khol din zindagi ko warna ek raaz-e-nihan samjha tha main rashk rah rah kar na kyun aae nasib-e-ghair par wo usi mahfil mein shamil the jahan samjha tha main tha haram ki sarzamin par lutf-andoz-e-sujud yani kabe ko tumhaara aastan samjha tha main wadi-e-ghurbat mein yun gum-karda manzil tha 'shakil' rahzan-e-manzil ko khizr-e-karwan samjha tha main