waqt banjara-sifat lamha ba lamha apna kis ko malum yahan kaun hai kitna apna jo bhi chahe wo bana le use apne jaisa kisi aaine ka hota nahin chehra apna khud se milne ka chalan aam nahin hai warna apne andar hi chhupa hota hai rasta apna yun bhi hota hai wo khubi jo hai hum se mansub us ke hone mein nahin hota irada apna khat ke aakhir mein sabhi yun hi raqam karte hain us ne rasman hi likha hoga tumhaara apna