sarhad-e-gul se nikal kar hum juda ho jaenge kal tumhaari qaid-e-khushbu se riha ho jaenge zehn mein ehsas-e-rukhsat hi na hoga sham tak badhte badhte din ke lamhe yun hawa ho jaenge chhod jao daman-e-imroz mein bhi kuchh na kuchh warna tum se tair-e-farda khafa ho jaenge jab na ho kar-e-nafas to phir hamare sath sath ye zamin-o-asman donon fana ho jaenge samne hai saat-e-akhir ka an-dekha azab umr-bhar kahte rahe ab be-nawa ho jaenge