us ke karam se hai na tumhaari nazar se hai mausam dilon ka dard ke raushan shajar se hai jis se mere wajud ke pahlu ayan hue shayad mera moamla us ke hunar se hai hail hua na koi talluq ki rah mein daim tamam silsila bint-e-sahar se hai aaya na wo haram mein imamat ke waste kuchh rabt hi ajib use apne ghar se hai apni gali mein nasb hai wo sang-e-be-nawa kahte hain garche wasta us ko safar se hai us ke siwa na dil ki hikayat koi padhe mansub meri dastan ek dida-war se hai mahsus kis tarah ho mujhe dhup ka azab 'almas' karobar mera baad-e-tar se hai